Jub hum shopping pr Jatayy hai tu ghar sai nikal nay sai phelay hi decide krlaytay hai Kai humhay kis tarha ki cheez kharidni hai Lakin Kuch aisay bhi hothay hai Jinhay fashion ka hawalai sai Kuch bhi pata nahi hotha isiliye wo sub sai poch nay Kai baad hi koi aik adhi achi cheez apnay liye pasand krti hai . Mai nai apni zindagi Mai aisi insaani fitrat bhi dekhi hai Jo apni pasand ki hoi cheez pai bhi khush nahi hotha qunkay usay kisi tarha ka complex rahay jata hai Kai Mai Kuch bhi phenloo Kuch bhi kharidloon Mai waisa hi ya waisi hi nazar aogi jaisi humhesha sai nazar ati hoon ab Mai aap ko ye zarror btana chahongi Kai khaas toor pr aisa complex aik ourat Mai hi hoskta aisa is liye qunkay aurat ki nafsiyat aadmi ki nafsiyat sai muqtalif hothi aur is baat ka andaza hum sub ko hi hai .

No comments:
Post a Comment